jo kehte the mujhe dost kabhi,
jo milte the har roz kabhi,

jinhe yaad karta mai jab kabhi,
khade ho jate samne tabhi ke tabhi,

vo saath mai rehna, khoob masti karna,
mushkilon ke daur me saath hokar ladna,

vo tapri mai milna, vo class bunk karna,

vo saath baith ke lecturer ko jhelna,
lecture ke waqt canteen mai patte khelna,

aur jab aati exams mai padne ke baari,
jane kaha se aajati sab ko bimari,

ek ladki ke saath ek dusre ki pairing,
ek sutte ki sab doston mai sharing,

kuch paise hote the haath mai,
par sab dost rehte the saath mai,

vo bhi kya daur tha kya aalam tha,
us waqt humko yeh kaha malum tha,

ki ek din sab ek dusre se juda ho jayenge,
apni zindagi mai na jane kahi kho jayenge,

aaj na waqt hai kisi ko yaad karne ko,
aaj na waqt hai kisi se baat karne ko,

agar koi milne ki bhi fariyaad kare,
toh waqt nahi hai mulakat karne ko,

aaj kehne ko mai hu aur mere dost hai,
sab aapni aapni zindagi mai mast hai,

paise toh bohat hai haath mai,
par mere dost nahi mere saath mai,

jo kehte the mujhe dost kabhi jane kaha ghum ho gaye,
is paise hi bhag daud mai jane mere dost kaha kho gaye,
jane mere dost kaha kho gaye,
jane mere dost kaha kho gaye….