Bahoot baar kehna chaha maine par…
Tum nahi samjhi
Hamari dosti aur pyaar ke bhich ki patli lakir
Kabhi mita paya nahi………
Un nazdekiyo ka sabab batana chaha tha maine par…
Tum nahi samjhi
Saath Chahata tha tumahara, taaumar ke liye
Kyon ? kaise kehta tumse ye baat main tumhe
Tumahare liye apna pyaar jatana chaha tha maine par…
Tum nahi samjhi
Kabhi jhakkar meri aankho mein tho dekha hota
Saari dasta khud ba khud padh leti tum
Beintehaa pyaar jhalakta hai tumhare liye in main par…
Tum nahi samjhi
Sitaro ki chadar se jab chalkti chandni chooti mujhko
To lagta ki mano Bahoo main bhar liya tumhe
Main bekarar hoon tumahare liye par is bekarari ko…
Tum nahi samjhi
Apna kaam, Apne dost, Apne aap main hi khoyi rahi,
Apni Masrufiyat se tumhe na waqt mila,
Mere sapne, meri aarzoo, mere arman
Meri Adhuri kahani ko…
Tum nahi samjhi


2 responses to “Tum nahi samji……???”
Piyush Prasannan
January 14th, 2011 at 10:27
Awsme!!!!!!!!!
rydermiles
January 14th, 2011 at 11:33
Thanks